best of लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
best of लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

सोमवार, 23 जनवरी 2017

My favorites: Jagjit Singh



1.                   Ab Main Ration Ki Qataron Mein Nazar Aata Hoon
2.                   Angdai Par Angdai Leti Hai Raat Judai Ki
3.                   Apne Chehre Se Jo Zahir Hai Chupaye Kaise
4.                   Apne Hathon Ki Lakeeron Mein Basa Le Mujhko
5.                   Apni Aag Ko Zinda Rakhna Kitna Mushkil Hai
6.                   Aye Khuda Ret Ke Sehra Ko Samandar Kar De
7.                   Bahut Dinon Ki Baat Hai
8.                   Dhuan Utha Tha Diwane Ke Jalte Ghar Se Saari Raat
9.                   Din Guzar Gaya, Aitbaar Mein
10.              Dost Ban-banke Mile Mujhko Mitaane Waale
12.              Hum Hi Mein Thi Na Koi Baat
13.              Humko Dushman Kee Nigahon Se Na Dekha Keeje
16.              Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein
17.              Khuda Humko Aisi Khudai Na De
19.              Kiya Hai Pyar Jise Humne Zindagi Ki Tarah
20.              LAB E KHAMOSH SE IZHAR E TAMANA
21.              Main Bhool Jaaoon Tumhe, Ab Yahi Munaasib Hai
23.              Mili Hawaon Mein Udne Ki Wo Saza Yaaro
24.              Neend Se Aankh Khuli Hai Abhi Dekha Kya Hai
25.              Odaho Na Kaga Kare, Odaho Na Kaga Kare
26.              Paseene Paseene Hue Jaa Rahe Ho
27.              Raat Bhi Neend Bhi Kahani Bhi
28.              Rishta Yeh Kaisa Hai Naata Ye Kaisa Hai
32.              Tumne Sooli Pe Latakte Jise Dekha Hoga 
*******************************************

Bahut Dinon Ki Baat Hai



Bahut Dinon Ki Baat Hai
Fizaa Ko Yaad Bhi Nahin
Ye Baat Aaj Kee Nahin
Bahut Dinon Kee Baat Hai

Shabaab Par Bahaar Thee
Fizaa Bhi Khush-gawaar Thee
Naa Jaane Kyoon Machal Pada
Main Apne Ghar Se Chal Pada
Kisi Ne Mujhko Rok'kar
Badi Adaa Se Tok'kar
Kaha Tha Laut Aae'iye
Meri Kasam Naa Jaai'eye

Par Mujhe Khabar Na Thee
Maahol Par Nazar Na Thee
Naa Jaane Kyoon Machal Pada
Main Apne Ghar Se Chal Pada
Main Shehar Se Phir Aa Gaya
Khayal Thaa Ke Paa Gaya
Us'e Jo Mujhse Door Thee
Magar Meri Zaroor Thee

Aur Ik Hasin Shaam Ko
Main Chal Pada Salaam Ko
Gali Ka Rang Dekh'kar
Nayee Tarang Dekh'kar
Mujhe Badi Khushi Huyee
Main Kuch Isi Khushee Mein Tha
Kisi Ne Jhaank'kar Kaha
Paraaye Ghar Se Jaai'iye
Meri Kasma Na Aai'iye

Wahi Haseen Shaam Hai
Bahaar Jiska Naam Hai
Chala Hoon Ghar Ko Chodkar
Na Jaane Jaaoonga Kidhar
Koi Nahin Jo Tok'kar
Koi Nahin Jo Rok'kar
Kahe Ke Laut Aai'iye
Meri Kasam Na Jaaiye
Album: FAVORITS
Singers: Jagjit Singh
Poet: Salam Machhalisahari
बहुत दिनों की बात है
फिजा को याद भी नहीं
ये बात आज की नहीं
बहुत दिनों की बात है
शबाब पर बहार थी
फिजा भी खुशगवार थी
ना जाने क्यू मचल पड़ा
मैं अपने घर से चल पड़ा
किसी ने मुझको रोककर
बड़ी अदा से टोककर
कहा था लौट आइए
मेरी कसम ना जाइए
पर मुझे खबर ना थी
माहौल पर नजर न थी
ना जाने क्यूँ मचल पड़ा
मैं अपने घर से चल पड़ा
मैं शहर से फिर आ गया
खयाल था कि पा गया
उसे जो मुझसे दूर थी
मगर मेरी जरूर थी
और एक हसीन शाम को
मैं चल पड़ा सलाम को
गली का रंग का देखकर
नयी तरंग देखकर
मुझे बड़ी खुशी हुयी
मैं कुछ इसी खुशी में था
किसी ने झाँककर कहा
पराये घर से जाइए
मेरी कसम ना आइए
वही हसीन शाम है
बहार जिसका नाम है
चला हूँ घर को छोडकर
ना जाने जाऊंगा कहाँ
कोई नहीं जो रोककर
कोई नहीं जो टोककर
कहे कि लौट आइए
मेरी कसम ना जाइए …
एल्बम: फेवरिट्स
गायक: जगजीत सिंह
शायर: सलाम मछलीशहरी
Watch/Listen on youtube: Pictorial Presentation