SAJDA लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
SAJDA लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

रविवार, 9 जुलाई 2017

SAJDA (1991) - JAGJIT SINGH, LATA MANGESHKAR



SAJDA (1991)
Artists: Jagjit Singh & Lata Mangeshkar
Album Tracks:
1.                Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaayega
2.                Jo Bhee Bura Bhala Hai Allah Janta Hai
3.                Dard Se Mera Daaman Bharde Ya Allah
4.                Dhoop Mein Niklo Ghataaon Mein Naha Kar Dekho
5.                Dhooaan Banake Fizaan Mein Udaa Diyaa Mujhko
6.                Dil Mein Ab Dard-e-mohabbat Ke Siwa Kuch Bhi Nahin
7.                Gham Ka Khazana Tera Bhi Hai Mera Bhi
8.                Har Taraf Har Jagah Beshumaar Aadmee
9.                Kisko Qaatil Main Kahoon Kisko Maseehaa Samajhoon
10.           Mausam Ko Ishaaron Se Bula Kyoon Nahin Lete
11.           Meri Tasveer Mein Rang Aur Kisi Ka To Nahin
12.           Mili Hawaon Mein Udne Ki Wo Saza Yaaro
13.           Tere Jalwe Ab Mujhe Harsoo Nazar Aane Lage
14.           Tujhse Milne Ki Saza Denge Tere Shehar Ke Log
Listen Full Album Online:MUSIC JUKEBOX

रविवार, 22 जनवरी 2017

Gham Badhe Aate Hain Qatil Ki Nigahon Ki Tarah



Gham Badhe Aate Hain Qaatil Kee Nigahon Ki Tarah
Tum Chupa Lo Mujhe Ae Dosth Gunahon Ki Tarah

Apni Nazron Mein Gunehgaar Na Hote Kyoon Kar
Dil Hi Dushman Hai Mukhalif Ke Gawahon Ki Tarah

Har Taraf Zeest Ki Raahon Mein Kadi Dhoop Hai Dosth
Bas Teri Yaad Ke Saaye Hain Panahon Ki Tarah

Jinki Khaatir Kabhi Ilzaam Uthaye 'faakir'
Wo Bhi Pesh Aaye Hain Insaaf Ke Shaahon Ki Tarah
Album: FAVORITS
Singers: Jagjit Singh
Poet: Sudarshan Faakir
ग़म बढे़ आते हैं क़ातिल की निगाहों की तरह
तुम छिपा लो मुझे, ऐ दोस्त, गुनाहों की तरह
अपनी नज़रों में गुनाहगार न होते, क्यों कर
दिल ही दुश्मन हैं मुख़ालिफ़ के गवाहों की तरह
हर तरफ़ ज़ीस्त की राहों में कड़ी धूप है दोस्त
बस तेरी याद के साये हैं पनाहों की तरह
जिनके ख़ातिर कभी इल्ज़ाम उठाये, “फ़ाकिर”
वो भी पेश आये हैं इंसाफ़ के शाहों की तरह
एल्बम: फेवरिट्स
गायक: जगजीत सिंह
शायर: सुदर्शन फ़ाकिर
Watch/Listen on youtube: Pictorial Presentation

गुरुवार, 14 जुलाई 2016

Kisko Qaatil Main Kahoon Kisko Maseehaa Samajhoon



Kisko Qaatil Main Kahoon Kisko Maseehaa Samajhoon
Sab Yahaan Dost Hee Baithe Hain Kise Kya Samajhoon

Wo Bhi Kya Din The Ke Har Vaham Yakeen Hota Tha
Ab Haqeekat Nazar Aaye To Use Kya Samajhoon

Dil Jo Tootaa To Kai Haath Duaa Ko Utthe
Aise Mahaul Mein Ab Kis'ko Paraayaa Samajhoon

Zulm Ye Hai Ke Hai Yaqtaa Teri Beganaaravee
Lutf Ye Hai Ke Main Ab Tak Tujhe Apana Samajhoon
Album: FAVORITS,
SAJDA (1991)
Singers: Jagjit Singh
Poet: Ahmad Nadeem Qasmi
किस को क़ातिल मैं कहूँ किस को मसीहा समझूँ
सब यहां दोस्त ही बैठे हैं किसे क्या समझूँ

वो भी क्या दिन थे की हर वहम यकीं होता था
अब हक़ीक़त नज़र आए तो उसे क्या समझूँ

दिल जो टूटा तो कई हाथ दुआ को उठे
ऐसे माहौल में अब किस को पराया समझूँ

ज़ुल्म ये है कि है यक्ता तेरी बेगानारवी
लुत्फ़ ये है कि मैं अब तक तुझे अपना समझूँ
एल्बम: फेवरिट्स, सजदा (1991)
गायक: जगजीत सिंह
शायर: अहमद नदीम क़ासमी
Watch/Listen on youtube:
 Pictorial Presentation: