गुरुवार, 8 जून 2017

Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Kisi Ko Dekhna Ho Gar



Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Kisi Ko Dekhna Ho Gar;
To Pehle Aake Maang Le Meri Nazar Teri Nazar;
Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Ye Ghar Bahut Haseen Hai;
Ye Ghar Bahut Haseen Hai Ye Ghar Bahut Haseen Hai!

Na Baadlon Ke Chaaon Mein Naa Chandni Ke Gaaon Mein;
Na Phool Jaise Raaste Bane Hain Iske Waaste;
Magar Ye Ghar Ajeeb Hai Zameen Ke Kareeb Hai;
Ye Eet-pattharon Ka Ghar Hamaari Hasraton Ka Ghar!

Jo Chaandni Nahin To Kya Ye Roshni Hai Pyaar Ki;
Dilon Ke Phool Khil Gaye To Fikr Kya Bahaar Ki;
Hamaare Ghar Na Aayegi Kabhi Khushi Udhaar Ki;
Hamaari Raahaton Ka Ghar Hamaari Chaahaton Ka Ghar!

Yahan Mahak Wafaaon Ki Mohabbaton Ka Rang Hai;
Ye Ghar Tumhara Khwaab Hai Ye Ghar Meri Umang Hai;
Na Aarzoo Pe Qaid Hai Na Hausle Pe Jung Hai;
Humare Hauslon Ka Ghar Hamaari Himmaton Ka Ghar!
Movie: Sath Sath
Music: Kuldeep Singh
Singers: Jagjit Singh & Chitra Singh
Lyricist: Javed Akhtar
ये तेरा घर ये मेरा घर, किसी को देखना हो गर;
तो पहले आके माँग ले, मेरी नज़र तेरी नज़र;
ये घर बहुत हसीन है!

न बादलों की छाँव में, न चाँदनी के गाँव में;
न फूल जैसे रास्ते, बने हैं इसके वास्ते;
मगर ये घर अजीब है, ज़मीन के क़रीब है;
ये ईँट पत्थरों का घर, हमारी हसरतों का घर!

जो चाँदनी नहीं तो क्या, ये रोशनी है प्यार की;
दिलों के फूल खिल गये, तो फ़िक्र क्या बहार की;
हमारे घर ना आयेगी, कभी ख़ुशी उधार की;
हमारी राहतों का घर, हमारी चाहतों का घर!

यहाँ महक वफ़ाओं की,मोहब्बतों का  रंग है;
ये घर तुम्हारा ख़्वाब है, ये घर मेरी उमंग है;
न आरज़ू पे क़ैद है, न हौसले पे जंग है;
हमारे हौसलों का घर, हमारी हिम्मतों का घर!
फ़ीचर फिल्म: साथ साथ
संगीत: कुलदीप सिंह
गायक: जगजीत सिंह & चित्रा सिंह
शायर: जावेद अख्तर
Watch/Listen on youtube: Pictorial Presentation

1 टिप्पणी: