Samne Hai Jo Use
Log Bura Kehte Hain,
Jisko Dekha Hee Nahi Usko Khuda Kehte Hain
Zindagi Ko Bhee Sila Kehte Hain Kehne Waale,
Jeene Waale To Gunaahon Kee Saza Kehte Hain
Faasale Umr Ke Kuchh Aur Badha Deti Hai,
Jaane Kyun Log Use Phir Bhee Dawa Kehte Hain
Chand Masoom Se Patton Ka Lahoo Hai `fakir',
Jisko Mehboob Ke Haathon Ki Hina Kehte Hain.

Lyrics: Sudarshan Faakir
सामने है जो उसे लोग बुरा कहते हैं
जिसको देखा ही नही उसको खुदा कहते हैं
जिसको देखा ही नही उसको खुदा कहते हैं
ज़िंदगी को भी सिला कहते हैं कहने वाले
जीने वाले तो गुनाहों की सज़ा कहते हैं
जीने वाले तो गुनाहों की सज़ा कहते हैं
फासिले उम्र के कुछ और बढ़ा देती है
जाने क्यूं लोग उसे फिर भी दवा कहते हैं
जाने क्यूं लोग उसे फिर भी दवा कहते हैं
चंद मासूम से पत्तों का लहू है `फकीर’
जिसको महबूब के हाथों की हिना कहते हैं
जिसको महबूब के हाथों की हिना कहते हैं
शायर: सुदर्शन फ़ाकिर
Listen/watch on Youtube:
Jagjit Singh
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें