मंगलवार, 15 जुलाई 2014

Shola Hoon Bhadakne Ki Guzaarish Nahin Karta


Shola Hoon Bhadakne Ki Guzaarish Nahin Karta
Sach Muuh Se Nikal Jaata Hai Koshish Nahin Karta

Girati Huyi Diwaar Ka Humdard Hoon Lekin
Chadhate Huye Sooraj Ki Parasthish Nahin Karta

Maathe Ke Paseene Ki Mahak Aaye Na Jaisi
Wo Khoon Mere Jism Mein Gardish Nahin Karta

Humdard Ye Ehbaab Se Darta Hoon 'muzaffar'
Main Zakhm To Rakhta Hoon Numaish Nahin Karta

Jo Bhii Bichha.de Hai.n Kab Mile Hain "faraz"
Phir Bhii Tuu Intazaar Kar Shaayad

Lyrics: Mujaffar Warsi
शोला हूँ भड़कने की गुजारिश नहीं करता
सच मुँह से निकल जाता हैं कोशिश नहीं करता


गिरती हुई दीवार का हमदर्द हूँ लेकिन
चढ़ते हुए सूरज की परस्तिश नहीं करता


माथे के पसीने की महक आये ना जिस से
वो खून मेरे जिस्म में गर्दिश नहीं करता


हमदर्दी-ए-एहबाब से डरता हूँ मुज़फ्फर
मैं जख्म तो रखता हूँ नुमाईश नहीं करता

शायर: मुजफ्फर वारसी
*****Also in:
Album: Echoes (1986)
       An Evening with Jagjit Singh 
Listen/watch on Youtube:
Jagjit Singh

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें